क्या मैं अपने 36 दिन के बच्चे को गहरी आवाज़ के लिए सुहागा दे सकता हूँ और इसके लिए सही उम्र क्या है? - #56706
Mera bachha 36 din ka hai kya mai use suhaga de sakti hu or bah karhata hai bahut garaiwater ki ,and,Haraki sahi age time kya hai
डॉक्टरों की प्रतिक्रियाएं
36 din ke shishu ko Suhaga dena uchit nahi hai. Itne chhote bachche ko bina balrog visheshagya ki salah ke koi aushadhi na den. Agar bachcha bahut rota hai, pet mein gas lagti hai ya colic lagta hai, to: • Maa apne bhojan mein ajwain, jeera aur saunf ka prayog kar sakti hain. • Bachche ke pet par halka garam til taila se 2–3 minute komal malish karein. • Doodh pilane ke baad bachche ko achchhi tarah dakar dilayen. Haritaki (Harad) bhi 36 din ke shishu ko bina chikitsak ki salah ke nahi deni chahiye. Agar bachche ko bukhar, ulti, pet phoolna, doodh kam peena, ya saans ki takleef ho to turant bal rog visheshagya ko dikhayen.
हमारे डॉक्टरों के बारे में
हमारी सेवा पर केवल योग्य आयुर्वेदिक डॉक्टर ही परामर्श देते हैं, जिन्होंने चिकित्सा शिक्षा और अन्य चिकित्सा अभ्यास प्रमाणपत्रों की उपलब्धता की पुष्टि की है। आप डॉक्टर के प्रोफाइल में योग्यता की पुष्टि देख सकते हैं।