General Ayurvedic Guidance— She Care juice ko din mein 2 bar, 20–30 ml gungune paani ke saath liya ja sakta hai. Ye tonic mainly energy, hormonal balance aur skin‑hair health ke liye supportive hai. Breastfeeding ke dauran herbal tonics ka use karte waqt baby ke digestion aur safety ko dhyaan rakhna zaroori hai. Alternatives & Supportive Remedies---- Shatavari churna – 1 tsp doodh ke saath din mein 2 bar (lactation + hormonal balance). Ashwagandha churna – ½ tsp doodh ke saath raat ko (energy + stress relief). Amla juice – 20 ml subah khali pet (hair fall + immunity). Diet & Lifestyle— Khana mein protein (dal, paneer, sprouts), seasonal fruits, aur ghee shamil karein. Raat ko jaldi soyen, subah halka yoga/pranayama karein. Stress aur over‑thinking kam karna bahut zaroori hai.
क्या मैं अपने 20 महीने के बच्चे को स्तनपान कराते समय She Care जूस का उपयोग कर सकती हूँ? - #54305
Mera20 machine ka beta since aur rat milakr 4_5 bar breastfeed krta hai kya main she care juice ka istemal kr sakti hon jeisa apne bataya mujhe wo sari samasya hai please Salah denkya main apke is juice ka Sewanee kr sakti ho mera baal girte hain bina kuch khaye piye banana me motapa hota ja rha hai sari rat soti hon fir bhi subah utha nhi jata that si jati hon
डॉक्टरों की प्रतिक्रियाएं
स्तनपान (breastfeeding) के दौरान “She Care Juice” का सेवन नहीं करना चाहिए, क्योंकि इसमें मौजूद कुछ जड़ी-बूटियाँ (जैसे अशोक, लोध्र, आदि) हॉर्मोनल प्रभाव डाल सकती हैं और दूध (स्तन्य) की गुणवत्ता/मात्रा पर असर डाल सकती हैं। आपके लक्षण — बाल झड़ना बिना ज्यादा खाए वजन बढ़ना थकान, आलस्य ये वात-कफ दोष वृद्धि + अग्नि मंद्य (कमजोर पाचन) और स्तनपान के कारण धातु क्षय की ओर संकेत करते हैं। (सुरक्षित उपाय) सुबह खाली पेट: गुनगुना पानी + 1 चम्मच शहद आहार: हल्का, सुपाच्य (दलिया, मूंग दाल, हरी सब्जियाँ) बालों के लिए: नारियल तेल + आंवला तेल से मालिश ऊर्जा के लिए: शतावरी कल्प या दूध के साथ शतावरी (यह स्तनपान में भी सुरक्षित और लाभकारी है)
Aapke symptoms jaise baal girna, thakan, wazan badhna ye sab body me Vata-Kapha imbalance aur Ras-Dhatu ki kami ki wajah se ho rahe hain. Breastfeeding ke dauran body ko zyada poshan ki zarurat hoti hai. Isliye is time koi bhi herbal juice lena theek nahi hai. Aap halka, poshak aahar lein, jaise ghar ka bana juice (amla, gajar), aur apni agni (digestion) ko strong rakhein. ------Shatavari kalpa – 1 tsp, dudh ke sath, din me 2 baar Lohasava – 2 tsp + equal pani, din me 2 baar khane ke baad ----- Aahar (Diet): Poshak aahar: doodh, ghee, moong dal, hari sabzi Amla, gajar-beetroot juice (fresh) Ati-tikha, junk food avoid karein — Vihar (Lifestyle): Paryapt vishraam (rest) Halka vyayam / walk Tanav se door rahen
हमारे डॉक्टरों के बारे में
हमारी सेवा पर केवल योग्य आयुर्वेदिक डॉक्टर ही परामर्श देते हैं, जिन्होंने चिकित्सा शिक्षा और अन्य चिकित्सा अभ्यास प्रमाणपत्रों की उपलब्धता की पुष्टि की है। आप डॉक्टर के प्रोफाइल में योग्यता की पुष्टि देख सकते हैं।