PCOD के साथ गर्भधारण कैसे करें? इसके लिए सबसे अच्छे उपाय और दवाइयाँ कौन सी हैं? - #55858
Pcod में प्रेग्नेंसी कंसीव हो सकती है? कंसीव करने के उपाय बताइए। मुझे कंसीव करना है, उसके लिए कोई दवा?
डॉक्टरों की प्रतिक्रियाएं
PCOD me pregnancy conceive ho sakti hai, tension lene ki zarurat nahi hai. Bahut cases me proper treatment aur lifestyle correction se naturally conception ho jata hai. Aapka aim periods regular karna, ovulation improve karna aur hormones balance karna hoga. Main generally PCOD patients me ye combination advise karta hoon: • SN Herbals Polycyst – PCOD hormonal imbalance aur ovarian cyst support ke liye • Rajpravartani Vati – periods regulate karne aur ovulation support ke liye • Nari Yauvan Syrup – female reproductive health aur hormonal balance ke liye Saath me: * Daily 30–40 min walk/yoga karein * Weight control rakhein * Sugar, maida, cold drinks aur junk food avoid karein * Stress aur late night jagna kam karein Agar aap actively pregnancy try kar rahi hain to husband ka semen analysis bhi ek baar karwana useful rahta hai. Proper medicines aur dose age, weight, periods history aur ultrasound reports dekhkar decide ki jati hai.
Aapke pcod ko kitna time ho gaya… Periods kaisa rahta ha aapka time to time aata ha Aapki age kitni ha Shadi ko kitna time ho gya
हमारे डॉक्टरों के बारे में
हमारी सेवा पर केवल योग्य आयुर्वेदिक डॉक्टर ही परामर्श देते हैं, जिन्होंने चिकित्सा शिक्षा और अन्य चिकित्सा अभ्यास प्रमाणपत्रों की उपलब्धता की पुष्टि की है। आप डॉक्टर के प्रोफाइल में योग्यता की पुष्टि देख सकते हैं।