क्या शिलाजीत से स्पर्म काउंट बढ़ता है और रिकवरी के लिए मुझे कौन सी आयुर्वेदिक दवाइयाँ और नियम अपनाने चाहिए? - #53386
Kya shilajit nil sperm ko badhata hai aur sperm ko badhane ke liye aur kaunsi ayurvedic dawa ka istemal karna chahiye? Aur kaun se niyam follow karne chahiye? Recovery mein kitne mahine lagenge?
डॉक्टरों की प्रतिक्रियाएं
Haan shilajeet se help mil skti hai lekin sirf shilajeet aapke liye sahi rahega ye bina consultation e batana mushkil hai Kaun se niyam follow karne chahiye Yeh sabse important part hai — bina lifestyle change ke medicines ka effect kam ho jata hai: 1. Diet (Aahar) Doodh, ghee, badam, akhrot, khajoor Seasonal fruits (banana, anar) Junk food, alcohol, smoking avoid 2. Lifestyle (Vihar) Proper sleep (7–8 ghante) Stress kam karein (yoga, pranayama) Excess masturbation ya sexual activity avoid karein 3. Yoga / Exercise Vajrasana, Bhujangasana, Setubandhasana Pranayama: Anulom Vilom, Bhramari Recovery me kitna time lagta hai Sperm formation cycle lagbhag 70–90 din (3 mahine) ka hota hai Isliye visible improvement ke liye: Minimum: 3 mahine Better results: 3–6 mahine, baki dawai puri history k bina batana mushkil hai
हमारे डॉक्टरों के बारे में
हमारी सेवा पर केवल योग्य आयुर्वेदिक डॉक्टर ही परामर्श देते हैं, जिन्होंने चिकित्सा शिक्षा और अन्य चिकित्सा अभ्यास प्रमाणपत्रों की उपलब्धता की पुष्टि की है। आप डॉक्टर के प्रोफाइल में योग्यता की पुष्टि देख सकते हैं।