PCOS Peshab me jalan aur white discharge ke liye (UTI relief) - #26553 - #26554
Namaste Doctor, Mera naam Muskan hai, age 19 . Mujhe PCOS confirmed hai (report: bilateral bulky ovaries, right 23 cc, left 19 cc, echogenic stroma with follicles). Main irregular periods, white discharge, urine burning aur lower abdomen pain se pareshan hoon. 6 mahine Tak doctor se ilaaj karvaya lekin Koi fayda nahin hua yah Jo report mein bata rahi hun yah 1 sal pahle ki Hai jab Koi fayda nahin hua to ilaaj chhod Diya aur ab pareshani fir se badh rahi hai dikkat jyada ho rahi hai isliye ayurvedic treatment chahti hun jisse bimari jad se khatm ho jaaye. Main unmarried hoon, chemical/hormonal medicine nahi chahti. Sirf Ayurvedic treatment aur diet/lifestyle guidance chahiye. Meri purani ultrasound report available hai. Please mujhe PCOS + UTI friendly natural remedies aur dawa ka plan bataiye. Shukriya Please help me aur bataye ki kaun si ayurvedic dawai se yah theek ho sakta hai aur Main Koi jaanch vagaira nahin karvana chahti main pahle ayurvedic ilaaj chahti hun apni purani report ke basis per kyunki mujhe purani report jaisa hi feel ho raha hai isliye jaanch tab karaungi jab mujhe ayurvedic davaiyon se fark mahsus hoga to please reply jarur kariye aur bataiyega jarur. Again please help me.
100% Anonymous
completely confidential.
No sign-up needed.

Doctors’ responses
Namaste Muskan ji,
Ye medicines lena shuru krein 45 din tak phir ek baar dobara dikhayein… 1.Chandanasava 20ml +20ml lukewarm water khana khane ke turant baad din mein do baar. 2.chandraprabhavati 1-0-1 3.shatavari powder 1tsf with Lukewarm milk din mein do baar. 4.Sukumar kwath 15ml +30ml lukewarm water khaali pet subah shaam. 5.Kanchnaar guggulu 2-0-2 chaba kar.
**Follow up after 45 days

100% Anonymous
600+ certified Ayurvedic experts. No sign-up.
About our doctors
Only qualified ayurvedic doctors who have confirmed the availability of medical education and other certificates of medical practice consult on our service. You can check the qualification confirmation in the doctor's profile.