PCOS yaani polycystic ovary syndrome, thoda tricky ho sakta hai, lekin Ayurveda isme bahut madad kar sakta hai. PCOS basically ek hormonal imbalance hota hai, jisme aapki ovaries normal function nahi karti. Pehle toh hum ye samajhna hoga ki aapka dosha imabalnce kaise hai. Usually, kapha dosha iska main culprit hota hai. Iska matlab hai aapko lifestyle aur diet ka diyaan rakhna padega.
Diet me aapko sugar, processed foods, aur dairy products ko kam karna chahiye. Zyada se zyada whole grains, fresh vegetables, aur fruits ko include kare. Methi seeds aur flaxseeds aapke liye bahut helpful ho sakte hain. Subah khali pet ek chamach methi seeds ko paani ke saath le. Ye aapke insulin level ko control karne me madad karte hain.
Phir, aapko apne routine me vyayam include karna chahiye. Early morning walk kare, yoga aur pranayama ko daily routine mein laye. Especially asanas jaise Surya Namaskar aur Baddha Konasana PCOS ke liye bahut faydemand hai. Stress management bhi bahut zaroori hai, kyunki stress se cortisol levels badhte hain jo hormonal balance bigad sakta hai.
Kuch Ayurvedic churan jaise “Chandraprabha vati” aur “Triphala” aapke kapha dosha ko balance karne me help karte hain, lekin inhe doctor se consult karke le. Aapko ek experienced Ayurvedic practitioner se consult karna chahiye jo aapke prakriti ke hisaab se personal remedy bata sake.
Remember, PCOS ka jad se khatam hona time leta hai, toh patience rakhe aur continuous effort karein. Agar kabhi zyada takleef hona lage, toh kisi reproductive endocrinologist se bhi milna jaroori hoga. Baby ki baat karein toh fertility treatment options bhi explore kar sakte hain agar aapke symptoms mild hone lagein.
Consistency se aap dekhengi improvement, but apne health ko priority banaein.


