क्या मेरे गठिया के दर्द और सूजन के लिए भूपति रस लेना सुरक्षित है? - #56048
I m arthritis patient. Mere swelling and pain bahut hai .daliy ki activities karne m problem aa rahy hai kiya sawarn Bhupathi ras safe hai lene m
How long have you been experiencing arthritis symptoms?:
- More than 1 yearHow would you rate the severity of your pain?:
- Severe — difficult to perform tasksWhere is the swelling located?:
- Multiple jointsWhat activities are most affected by your symptoms?:
- WalkingHave you tried any other treatments for your arthritis?:
- No, this is my first treatmentDo you have any other health conditions?:
- No other conditionsHow is your overall energy level during the day?:
- Low energy — often tiredडॉक्टरों की प्रतिक्रियाएं
Aap pehle basic Ama-Vata treatment (Yograj Guggulu, Simhanad Guggulu, Kwath, diet regulation) start karein; agar relief kam ho tab advice se Swarn Bhupati Ras add kiya ja sakta hai. ----Rx: 1) Tab. Yograj Guggulu – 2 tab bd after food 2) Maharasnadi Kwath – 15 ml + equal warm water bd after food 3) Simhanad Guggulu – 1 tab bd after food 4) Dashmool Taila local application + mild hot fomentation —Advice: Swarna Bhupati Ras only under Ayurvedic supervision Warm, light diet; avoid curd, cold, fried & heavy foods Ushna jal pana, excessive strain/walking avoid.
••Kya Swarna Bhupati Ras safe hai? Haan, yeh safe hai, LEKIN sirf tab jab ise kisi qualified Ayurvedic doctor ki strict dekh-rekh (medical supervision) mein liya jaye. Aapko iske baare mein 3 baatein zaroor jaan ni chahiye: ••Herbo-Mineral Composition: Swarna Bhupati Ras ek bohot hi potent (shaktishali) Rasa Aushadhi hai. Ismein Swarna Bhasma (Gold), Rajat Bhasma (Silver), Tamra Bhasma (Copper), aur Shuddha Gandhak jaise heavy metal aur mineral ingredients hote hain. Inka shodhanna aur bhashma banane ki prakriya agar sahi ho, toh yeh bohot achha asar karti hain, par bina doctor ki salah ke inhein khud se nahi kharidna chahiye. ••Kismein Fayda Karti Hai? Yeh dawai purane Vata rog, jodong ka dard, aur soojan (inflammation) ko kam karne mein bohot asardhar hai. Yeh shareer mein ruke hue Ama (toxins) ko pachene aur jodon ki mobility sudharne mein madad karti hai. ••is ka alava aap in chizo ko bhi add kar sakte ha isse aur jaldi aapko aaram milega ••Yograj Guggulu ya Kaishore Guggulu: 1-2 tablet din mein do baar khane ke baad garm paani se. ••Maharasnadi Kadha: 15-20 ml kadha, barabar matra mein garm paani milakar din mein do baar khane ke baad lein. 2. Bahari Upchar (External Application) Jodon par jahan swelling aur pain hai, wahan Mahanarayan Taila ya Pinchu Taila ko halke hath se lagayein (bohot tez maalish nahi karni hai). ••Uske baad halka garm sek (dry fermentation/potali sweda) karein. Agar Amavata (Rheumatoid Arthritis) hai, toh tel lagane ke bajay baalu (sand) ki potali se dry sek karne se soojan jaldi kam hoti hai. 3. Pathya-Apathya (Diet & Lifestyle) ••Kya Khayein: Garm aur taza khana khayein. Khane mein adrak (ginger), lahsun (garlic), haldi, aur hing ka prayog badhayein. Yeh natural anti-inflammatory hain. ••Kya Na Khayein: Dahi, chawal, udad dal, thanda paani, baasi khana, aur fast food bilkul band kar dein, kyunki yeh shareer mein Ama (toxins) aur Vata badhate hain, jisse dard aur soojan badh jayegi.
हमारे डॉक्टरों के बारे में
हमारी सेवा पर केवल योग्य आयुर्वेदिक डॉक्टर ही परामर्श देते हैं, जिन्होंने चिकित्सा शिक्षा और अन्य चिकित्सा अभ्यास प्रमाणपत्रों की उपलब्धता की पुष्टि की है। आप डॉक्टर के प्रोफाइल में योग्यता की पुष्टि देख सकते हैं।