सुबह के समय घुटने और कंधे में सूजन और अकड़न के साथ दर्द होने का कारण क्या है? - #55760
Mere pair ke ghutnon mein Dard Hai Sujan hai aur akdan hai subah chalte samay Dard hota Hai aur Shyam raat mein samay bhi Dard hota Hai aur mere kandhe mein bhi hath upar Kiya to Dard hota hai aur jakran mahsus karte hain baen hath aur uski dawai bataiye
How long have you been experiencing knee and shoulder pain?:
- More than 6 monthsHow would you rate the severity of your pain?:
- Mild — noticeable but not limitingDo you notice any particular time when the pain worsens?:
- Evening/NightHave you experienced any swelling in your knees or shoulders?:
- Yes, mild swellingWhat activities seem to trigger or worsen your pain?:
- WalkingHow is your overall energy level during the day?:
- High — very activeHave you tried any treatments for this pain before?:
- No, this is the first time seeking helpडॉक्टरों की प्रतिक्रियाएं
Aushadhi Chikitsa (Internal Ayurvedic Medicines) Ayurveda mein Amavata aur Vata rog ke liye shreshtha aushadhiyon ka prayog kiya jata hai: •Simhanada Guggulu ya Yogaraja Guggulu: 2-2 goli subah aur sham, khane ke baad gungune paani ke sath. (Simhanada Guggulu sujan aur jakran ko kam karne mein vishesh roop se labhdayak hai). •Rasnasaptak Kwath ya Maharasnadi Kadha: 15-20 ml kadha, utne hi gungune paani mein milakar din mein do baar (subah-sham) khane ke baad lein. Yeh kandhe aur ghutno ke dard aur jakran (stiffness) ke liye shreshtha hai. •Amavatari Rasa: 1-1 goli subah-sham khane ke baad gungune paani se (agar sujan aur subah ki jakran bahut zyada ho). Kya Khayein (Pathya) Gunguna paani piyein (Dinbhar) Purana chawal, mooli, sahjan (drumstick), adrak, lahsun, aur haldi Khane mein sendha namak aur jeera ka prayog karein. Kya Na Khayein (Apathya) Thanda paani, cold drinks, ya ice cream Dahi, chach (buttermilk), udad daal, aur fast food Baasi khana, chana, bhindi, aur arbi (jo Vata badhati hain)
हमारे डॉक्टरों के बारे में
हमारी सेवा पर केवल योग्य आयुर्वेदिक डॉक्टर ही परामर्श देते हैं, जिन्होंने चिकित्सा शिक्षा और अन्य चिकित्सा अभ्यास प्रमाणपत्रों की उपलब्धता की पुष्टि की है। आप डॉक्टर के प्रोफाइल में योग्यता की पुष्टि देख सकते हैं।